|
Dil Ki Baatein Suniye Tho
|
Kuch kehna hai aap ko, I
have never been in love before. Dil ne yeh kaha hai dil se,
mohabbat hogayi hai tujhse. Tum dil ki dhadkan mein rehti ho.
Puchna tha aapse, aankhon se tune yeh kya kehdiya, dil yeh
deewana dharakne laga. Jaanam samjha karo, mein itna intizar nahi
karsakta. Aap ek baat sunlijiye, dulhe ka sehra suhana rehta hai.
Aise kaise hogay, do lafzoo meine liktdiya apne prem kahani. Hai
deewana yeh ishq mere, na jaane kya mein aap ko paane kiliye
karlonga. Aap ko dheka tho aise laga, jaise khilta ghulab, jaise
shaiyar ka khwab, jaise sardi ki dhoop, jaise khusbboo le aye
thandi hawa. Aap ne kiyon mere neend churayi? Mein kaise aap ki
har khushi pura karoon? Ek baat bataon? Raja ko rani se pyaar
hogaya, pehli nazar mein pehla pyaar hogaya. Pehle dil kehta tha
ke naa milo kahin pyaar na hojaye. Maggar mein ab kya karon? Ab
tho dil kehta hai, sukh aave dukh aave, yaar ki judaai aave na.
Aur bas yeh baat nahi hai. Aadayein bhi hain, mohabbat bhi hai,
nazakat bhi hai, mere mehboob mein. Woh deewana pan, woh
mausumiyat, shararat bhi hai mere mehboob mein. Na pucho mera dil
kaha kogaya. Tujhe dhekte hi tera hogaya. Aankhon mein tu, mere
khwabon mein tu hai. Yaadon ke mehe ke ghulabon mein tu hai. Woh
sehmi nazar, woh kamsin umar, chahat bhi hai mere mehboob mein.
Mohabbat ki duniya basane laga. Mein kaise aap ko bataon kitna
pyar hai aapse. Jado sa chane laga, pagal banane laga kuch yaad
aane laga, kuch bhul jaane laga, kya kare na kare, yeh dil kya
kare. Jaata hoon sone kiliye, aur aap mere need churaleti hain.
Kab yeh pyar hogaya? Chori chori satane lage, raaton ko bhi
jagane laga, lamha haseen pyar ka dil ne phir yaad kiya. Khwabon
ko bhi sajane laga, jado koi chalane laga. Aap ki thareef khatm
mein kaise khatm karon? Aise ho hi nahi sakta. Bholi si surat,
aankhon mein masti aiy haiy. Itna pyar karta hoon aapse ke raat
ko aonga mein, chupke se lejaonga, film dhekaonga mein, sair
karaonga mein, aur shaadi karaonga mien. Is duniya mein aap hi
meri sab kuch, chahe bhi to kya chahe tumhare siva. Intizaar hai,
ke ek din mohabbat ke din ho, mohabbat ki raatein aur kabhi khatm
na ho mohabbat ki baatein. Aap hai meri subha aap meri shaam hai.
Aap janti hai ke khwabon mein dheka jisse tu hai wahi dil ruba.
Chahon mein kitne tujhe, tujhko nahi hai pata. Abhi to aap mujhse
dur hain, aur ek din aonga mein. Uss din meri chahaton ka yoon
rasta na roko. Tere siva ab mujhe kuch yaad aata nahi, batab
rehta hoon mein, kyon dard jaata nahi? Yeh dil hai deewana, siva
ishq ke kuch nahi jaanta hai. Dilbar tujhe pyar karna mera kaam
hoga. Na jaane kitne laug aap ko aake kaha hai ke, "Chand
bhi dheka, phool bhi dheka, badal, bijili, koi nahi hai aisa.
Husn hai aisa. Meri aankhon ne cuna hai tujhko duniya dhek kar."
Aur kya aaj kal ke ladke aap ko kehenge? Maggar mein woh ek ladka
hoon jo ab aap ke siva kucha aur nahi dhekta hai. Kiska chehira
ab mein dhekoon, aap ka chehira dhek kar. Yeh meri zindagi ab
tere naam hai. Yeh humko kya hua hai? Yeh tum ko kya hua hai? Hum
bhi samajhrahe hain, tum bhi samajhrahe ho. Yeh dil ki mahrabani,
yeh pyaar ki dua hai. Mujhe intna intizar yeh duniya kara rahi
hai. Aate jaate jo milta hai tumsa lagta hai. Hum tho pagal
hojayenge aisa lagta hai, tere pyaar mein, tere intizaar mein.
Deewanepan ki yeh intiha hai, Tere siva hum soche bhi kaise.
Kehna Humara maano sanam. Sapnon mein mujhse milti hai ek larki
rozaana, woh meri deewani mein uska deewana. Aise kya aap ne
karliye, jo chand chuppa badal mein sharma ke meri jaana?
Nazdikiya bar jaane de, yeh duriyan mit jaane de. Dil karta hai
ke milke aapse baat karon. Dar hai ke aise milke baat nahi
karpaon. Jo baat kehna chahe zubaan ek paal aap ko dhek ke tum se
yeh woh kehegi. Dil kahega ke, "Hum dil de chuke samam, tere
hogaye hai hum, tere kassam." Jaise bhi aap mujhe is baat ka
jawab dengi, hum tho mohabbat karega. Tu tho meri jaan hai. Itne
dur rehne par bhi kya aap ko aihsas hai? Baat ab yeh hi khas hai
ke aap ka dil aap humare pas hai, humara dil aap ke pas hai. Ab
tho merd dil ki dharkan fizaon mein hai. Manzilon se galein rasta
miljayega. Aap ki aur meri jori is duniya mein sab se pyaara hai.
Intizar hai milne ke baad aap ki dil ki baat mein sunnon, "Tum
jo aaye tho dil ne yeh kaha, tum jo ho mile tho duniya haseen hai."
Aur uska jawab mein dona, "Kaise bataon mein kya tumme baat
hai, chehre pe chandini hai tho zulfon pe raat hai." Aap se
shaadi kar ke mein aap ko sukriya dena chahta hoon. Shukriya,
shukriya, shukriya mere piya. Jitne soye khwab teh sab ko
jagadiya. Aap meri baat maniye, Chahe tum kuch na kaho, meinie
sunliya, ek saathi pyaar ka mujhe chunliya. Yeh hai pehla nasha
pehla khuma, naya pyaar hai naya intizaar. Urta hi phiron mein in
hawaon mein kahin, ya mein jhool jaon in ghataon mein kahin. Kya
yaaron karon kya nahi. Eh dil, yeh baat mein ek bar kehonga. Mein
aap paake hi rahonga. Jo sab karte hai yaaron woh kiyon hum tum
kare. Gharwale se bhala hum kiyon dare? Yaha ke hai hum sikandar
*********. Mere khayalon ki nalka, teri aankhon mein hai halka se
nasha, tera roop meri nazron mein basa. Ab aap humme bataye,
kitna pyaara hai pyaar? Hua hai pehli bar, hota hai ek bar, phir
na hoga yeh dubara. Aap ke bina kaisi tanhayi hai? Aapse tho koi
achi millegi nahi, koi tumse kaam bhi chalegi nahi, aa meri life
banade. Jaldi aap aaye mujhse milne. Tere bin na lage dil. Ay dil
bata yeh tujhe kya hua? Tu hai kiyon baqarar itna? Kahin pyaar na
hogaya? Jee jaahe jee bhar ke jaahon usse mein chahat ka mausum
beete kabhi. Usko ke khayalon mein kohya rahon mein, manzil mujhe
tho milegi wahi. Yeh hai aitbar, dil ki pukar sun mere yar. Pyar
tho hogaya. Aap ki duri ne mera pyaar ko nahi rok paya, pardesi
meine mobabbat karli. Aap se tho bas pyaar karne ka sawal ut tha
hai. Kiyon ke teri aakhiyan kamaal, tera roop hai kamaal, tera
nakhra kamaal, tu cheez yara hai kamaal. Dil ne dil ko pukara, lo
mein aaonga milne dubara. Manzil pyar tumhara. Kaho na pyar hai,
ke mujhse pyar hai. Ek paal ka jeena, phir tho hai jaana. Tofa
kya lekejaye dil yeh batana. Khali haat aayenge hum, dil le ke
jayenge hum. Pyaar ke do meethe bol jhil milaenge. Tho pyar karke
jayenge kiyonke ke tujhko hai paana. Aap bhi jaanti hai ke kehta
hai mann, apna milan duniya mein yaadgar hai.
|
| |